Tuesday, December 27, 2016

Kuch Yaadein Aisi Hai...

Kuch Yaadein Aisi Hai..
by Varun Narula

Os ki sard boondein,
Jab subah ki roshni mein khil-khilaati hai.
Garam ret par rakhe pairo ko,
Jab samandar ki leharein sehlaati hai,
Hawa mei nachta har kash ka dhua,
Mast maula, apni kahani rachta hai.
Kuch yaadein aisi hai, jo kahan mit paati hai.

Woh ma ke haath ki garam roti,
Har niwale mei jaise jannat dikhaati hai.
Kuch khatti, kuch meethi,
Zindagi ki kahaniyaan banti hi jaati hai.
Har aah ko dil mei dabaa kar,
Jo chehre par mushkaan rakhne ki sazaa hai.
Kuch yaadein aisi hai, jo kahan mit paati hai.

Us aankh se chalka har aansu,
Apni kahaani khud hi baha deta hai.
Har dil mei dard chupa hai,
Par doosre ki dil ko bhala kaun sunta hai.
Na jaane aise kitne dardo ko,
Yeh duniya roz pyaale mei duba deti hai.
Kuch yaadein aisi hai, jo kahan mit paati hai.

Woh tootey huey sapne,
Woh peeche choothey yaar.
Woh bachpan ki yaadein,
Woh adhoora raha pyaar.
Kuch toh baat hai hum mei,
Ki khushi khudh humse peeche chudhathi hai,
Kuch yaadein aisi hai, jo kahan mit paati hai.

Yeh safar bhi ajeeb hai,
Sab kehte hai ki woh saathi hai.
Fir kyu yeh kadam,
Akele hi nishaan chodhey chale jaate hai.
Hum tab bhi buland chalenge,
Jab zindagi ki mom pinghal jaati hai.
Kuch yaadein aisi hai, jo kahan mit paati hai